Song: Aaj Hai Pyar Ka Faisala... Leader (1964)

Song: Aaj Hai Pyar Ka Faisala
Movie: Leader (1964)
Music: Naushad
Singer: Lata Mangeshkar and Mohammed Rafi
Lyrics: Shakeel Badayuni
Director: Ram Mukherjee
Starring: Dilip Kumar, Vyjayanthimala, Jayant, Nasir Hussain

 


 

Lyrics:



Aaj hain pyar ka phaisla aye sanam
Aaj mera mukaddar badal jayega
Aaj hain pyar ka phaisla aye sanam
Aaj mera mukaddar badal jayega

Tu agar sangdil hain to parwah nahi
Mere nagmo se pathar pighal jayega
Aaj hai pyar ka phaisla aye sanam
Aaj mera mukaddar badal jayega

Dekh main hun badi chot khaye hue
Tere kadmo mein sar jhukaye hue
Aa gale se lagale warna phir
Aa gale se lagale warna phir
Baat rah jayegi waqt tal jayega
Aaj mera mukaddar badal jayega

Mere dil ko mila dilnashi chahiye
Or iske siwa kuch nahi chahiye
Tune kar di agar ek nigah karam
Tune kar di agar ek nigah karam
Mera toota hua dil sambhal jayega
Aaj mera mukaddar badal jayega
Tu agar sangdil hain to parwah nahi
Mere nagmo se pathar pighal jayega
Aaj hain pyar ka phaisla aye sanam
Aaj mera mukaddar badal jayega

Aye meri zindagi meri jane wafa
Sunle dil ki sada hosh me aa jara
phir mujhe pane daman ki de de hawa
phir mujhe pane daman ki de de hawa
Warna ghoont ke mera dam nikla jayega
Aaj mera mukaddar badal jayega
Aaj hain pyar ka phaisla aye sanam
Aaj mera mukaddar badal jayega

Husn se ishk kabhi dur nahi rah sakta
Dil agar dil hain to majbur nahi rah sakta

 

Comments

Popular posts from this blog

Song: Aapke Haseen Rukh Pe Aaj Naya Nor Hain... Baharen Phir Bhi Aayengi (1966)

Song: Dil-E-Nadan Tujhe Hua Kya Hai ... Mirza Ghalib (1954)

Song: Aye Bhai Jara Dekh Ke Chalo... Mera Naam Joker (1970)