Song: Dhuan Bana Ke Faza Mein... Sajda vol 2 (2013)
Song: Dhuan Bana Ke Faza Mein...
Albam: Sajda vol 2 (2013)
Singer: Lata Mangeshkar
Music: Jagjit Singh
Lyrics: Nazeer Baqri
Dhuan bana ke faza mein uda diya mujh ko
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujh ko
Taraqqiyon ka fasana suna diya mujh ko
Abhi hansa bhi na tha aur rula diya mujh ko
Main ek zarra dulandi ko chhune nikla tha
Hava ne tham ke zamin par gira diya mujh ko
Safed sang ki chadar lappet kar mujh par
Fasil-e-shahr pe kis ne saja diya mujh ko
Khada huun aaj abhi roti ke chaar harf liye
Saval ye hain kitabon ne kya diya mujh ko
Na jaane kaun sa jazba tha jis ne khud hi “nazeer”
Meri hi zaat ka dushman bana diya mujh ko
Albam: Sajda vol 2 (2013)
Singer: Lata Mangeshkar
Music: Jagjit Singh
Lyrics: Nazeer Baqri
Lyrics:
Dhuan bana ke faza mein uda diya mujh ko
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujh ko
Taraqqiyon ka fasana suna diya mujh ko
Abhi hansa bhi na tha aur rula diya mujh ko
Main ek zarra dulandi ko chhune nikla tha
Hava ne tham ke zamin par gira diya mujh ko
Safed sang ki chadar lappet kar mujh par
Fasil-e-shahr pe kis ne saja diya mujh ko
Khada huun aaj abhi roti ke chaar harf liye
Saval ye hain kitabon ne kya diya mujh ko
Na jaane kaun sa jazba tha jis ne khud hi “nazeer”
Meri hi zaat ka dushman bana diya mujh ko
Comments
Post a Comment