Song: Ye Hawa Ye Raat Ye Chandani ... Sangdil-1952

Song: Ye Hawa Ye Raat Ye Chandani...
Movie: Sangdil-1952
Music: Sajjad Husain
Lyrics: Rajendra Krishan
Singer: Talat Mehmood
Directed By R.C.Talwar
Starring: Dilip Kumar, Madhubala
 

Lyrics:



Ye hawa ye raat ye chaandni
Teri ik ada pe nisaar hai
Ye hawa ye raat ye chaandni
Teri ik ada pe nisaar hai
Mujhe kyun na ho teri aarzoo
Teri justjoo mein bahaar hai
Ye hawa ye raat ye chaandni

Tujhe kya khabar hai o bekhabar
Tujhe kya khabar hai o bekhabar
Teri ik nazar mein hai kya asar
Tujhe kya khabar hai o bekhabar
Teri ik nazar mein hai kya asar

Jo gazab mein aaye to kehar hai
Jo ho meharbaan wo qaraar hai
Mujhe kyun na ho teri aarzoo
Teri justjoo mein bahaar hai
Ye hawa ye raat ye chaandni

Teri baat baat hai dilnasheen
Teri baat baat hai dilnasheen
Koi tujhse badh ke nahi haseen
Teri baat baat hai dilnasheen
Koi tujhse badh ke nahi haseen

Hai kali, kali mein jo mastiyaan
Teri aankh ka ye khumaar hai
Mujhe kyun na ho teri aarzoo
Teri justjoo mein bahaar hai
Ye hawa ye raat ye chaandni
Teri ik ada pe nisaar hai..

 

Hindi Lyrics:



ये हवा ये रात ये चाँदनी
तेरी एक अदा पे निसार है
मुझे क्यूँ ना हो तेरी आरज़ू
तेरी जुस्तजू में बहार है
ये हवा ये रात ये चाँदनी

तुझे क्या खबर है ओ बेखबर
तेरी एक नज़र में है क्या असर
जो गज़ब में आये तो कहर है
जो हो मेहरबां वो क़रार है
मुझे क्यूँ ना हो तेरी आरज़ू
तेरी जुस्तजू में बहार है
ये हवा ये रात...

तेरी बात, बात हैं दिलनशीं
कोई तुझसे बढ़के नहीं हसीं
हैं कली, कली में जो मस्तियां
तेरी आँख का ये खुमार है
मुझे क्यूँ ना हो तेरी आरज़ू
तेरी जुस्तजू मैं बहार है
ये हवा ये रात...

Comments

  1. Class act. Madan Mohan copied this into "Tujhe kya suno mein dilruba" sung by Rafi but only to receive Sajjad's full wrath.

    ReplyDelete
  2. Both this and inspired version Tujhe kya sunao are phenomenal.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Song: Aapke Haseen Rukh Pe Aaj Naya Nor Hain... Baharen Phir Bhi Aayengi (1966)

Song: Dil-E-Nadan Tujhe Hua Kya Hai ... Mirza Ghalib (1954)

Song: Aye Bhai Jara Dekh Ke Chalo... Mera Naam Joker (1970)